Biodata:
Name: Muhammad Rafiq Tarar
Born (Birthday): 2 November 1929
Birth Place: Gujranwala
Fields: Judge, Politician
Political Party: Pakistan Muslim League (N)
Education: University of the Punjab
Biography:
Muhammad Rafiq Tarar Zila Gujranwala ki tehsel wazer abad ke gaoun Pirkot mein 2 November 1923 ko peda howe. In ke teen betey aur eik beti hai. Rafiq Tarar talemi manazil tey karte howe 1966 ko Session Judge muntakhib howe. October 1974 ke pehley hafte mein woh high court ke judge bana diye gaey. 1989 mein seniority per chief justice high court bane. Bhutto sahib ke dor mein Judge bane aur Benazir ke dor mein chief justice bane. January 1991 mein supreme court bhej diye gae aur wahan se 1st November 1994 mein 65 saal ki umer mein retire ho gae.
Muslim League Non Mein Shamoliyat:
Muhammad Rafiq Tarar ne retirement ke baad Muslim League Non mein shamoliyat ikhtayar kar li. Dhai baras ke bad Muslim League Non ke taraf se bila muqabla senator bane pher record votes se sadar muntakhib howe. 28 baras judge ke ohde per faez rahe. Aaj kal jamhoriyat aur Muslim League ke liye jado-jehad kar rahe hein. October 1999 ko ap sadar ke ohde per faez they jab Army ne take over kar liya aur 20 June 2001 ko Muhammad Rafiq Tarar sahib ko barkhast kar ke General Pervez Musharraf sadar ban gae.
|