Importance of Calcium and Phosphorus (Insani jism mein Calcium aur Phosphorus ki Aehamyat)
Insani jism ko madani namkiyat ki zarorat hai in sab se zyada aehum aur zarori calcium aur phosphorus hein calcium yani chone ki aehamyat esi se wazah ho jati hai ke humare badan mein jis qadar madani namak hai in ka wazan chothai hissa sirf chona (calcium) hai aur agar sare badan ke wazan se hisab lagaya jae tou jism ke wazan mein 3% ke qareb calcium ki maqdar hoti hai. agar ksi shakhs ka wazan 1 man 10 ser hai tou es ke jism mein dedh ser calcium mojod hai calcium ki es maqdar ka beshtar hissa jism ki haddiyon aur danton (teeth) mein hota hai. Jahan woh phosphorus ke sath mil kar calcium aur phosphorus ki murakab sorat mein hota hai, calcium humare khon mein bhi mojod hota hai.
Phosphorus humare jism mein protein ke sath mila howa jism ke khalyat mein paya jata hai aur dimagh-o-aesab ki makhsos ratobat ke humrah mojod rehta hai jism ki haddiyon aur, danton (teeth) aur khon (blood) mein calcium ke sath nimki sorat mein shamil rehta hai.
Calcium aur Phosphorus kin Ghezaon se Hasil ho Sakte hein
Which Food To Gain Calcium:
Polish kiye howe chawal, bajra, dalein, shaker, murabba jat, sagodana, aalu, moli aur gajar ki qisam qisam ki tarkariyan aur gosht aesi ghezaein hein jin mein calcium ka juz bohat kab hota hai, dodh, makhan nikla howa dodh, pannier, ande, badam, akhrot, pista, phal aur sabz tarkariyan mein calcium ki afrat hoti hai, dodh, balai, dahi lassi, pannier, ande aur badam mein sab se zyada calcium hota hai in se kuch kum shalgham, moli, palak aur mater mein , in sab se kuch kum gehon, saib, nashpati, gajar, band ghobi, aalu aur machli hein.
Phosphorus:
San rasida admiyo se bachon ko apni haddiyon aur danton ki parwarish ke liye phosphorus ki bohat zyada zarorat hoti hai. bache ki gheza mein phosphorus aur calcium ki kami ke sabab es ki haddiyan aur dant pore tour per nashonuma hasil kar sakte hein lekin agar gheza mein phosphorus bohat kam ho tou bhi yahi natija nikalta hai esi liye bache ke gheza ke mutaliq yeh bohat he zarori hai ke es mein yeh dono ajza sahi tanasub mein hon.
Which Food To Gain Phosphorus:
Dodh, ande, maghazyat, pista badam, akhrot, chilghoze, jo, chane, matar, gajar, gobhi, gosht, machli aur parindon ke gosht mein phosphorus kasrat se mojod hai, lekin meda aur zamin ke nichy peda hone wali tarkariyon mein es ka jazo bohat kam hota hai agar calcium aur phosphorus ki mutnasib maqdar jism mein pohchani maqsod ho tou aesi ghezaon ko jin mein calcium zyada hai aesi ghezaon ke sath estamal karna chahiye jin se phosphorus ki zyada maqdar mil sakti hai phosphorus jismani nashonuma aur dimagi taqat ke liye bohat zarori hai.
|